shayari/ghazals

Home | Poems | shayari/ghazals

Khwaab (Poetess)

 

Khwaab..

Kafan..

Muraad..

Sawaal..

manzil..

Tum..

zakhm..

dard..

pyaar..

kab tak..

Ae-Khudaa!

zindagi ..

Rishta..

Kahin aisaa naa ho..

do jism ek jaan...

maut..

kyun..

Jab tum nahi the..

Aaj bhi..

Chahat..

shayad..

khudgarz..

Kal aur Aaj..

saharaa..

naaz..

  • wo samajh naa sake..

mere andaaz wo samajh naa sake,

mere jazbaat wo samajh naa sake,

wo samajh naa sake meri majbooree,

mere haalaat wo samajh naa sake...

  • tere baad fir..

na reh jaye koi aas tere baad fir,

na reh jaye koi pyaas tere baad fir,

hai meri yahi aarzoo, ae mere humnashi,

na reh zindagi bhi tere baad fir......

 

  • tere bagair...

tere bagaeir kaise beetegi ye zindagee,

zinda magar rahenge hum hai kaisi ye bebasee,

kya jaane ab milenge bhi ya naa milenge hum,

teri magar ye aarzoo chootegee na kabhie..

 

  • hayaa..

teree zulfon se tapakta huaa wo shabnam ka katraa,

teree aankhon mein chamaktaa huaa wo roshnee ka noor,

tere chehre ki zia,teree muskuraahat,

teree baatien,teree khaamoshie, teree hayaa..

teree har ek baat jo sabse alag hai,

wohi mujhe teree aur kheechtee hai,

teraa roothna,meraa manaana,

teraa yun mujhpe gussa hona,

mujhe daantnaa, samjhaana,..

mujhe ye ehsaas dilaata hai ki

tujhse zyaada apna meraa aur koi nahi hai..

 

  • INTEZAAR....

jo guzar gaye hain, unn lamhon ke,

laut aane kaa intezaar...

teri zulfon mein kho jaane ka,

teri baahon mein khud ko paane ka, Intezaar...

jheel see gehree teri aankhon mein,

doob jaane ka, intezaar...

tere seene pe sir rakh ke,

so jaane ka intezaar...

raat bhar teri pyaari baaton ko,

sun ke jagne kaa intezaar...

tujhko apnaa banake,

sang jeene ka, intezaar...

Intezaar, intezaar aur Intezaar....

 

 some of my latest shayaris:-

1.   naaz..

jeet lena tu, har ek baazi zindagi ki,

na maan-na kabhie haar, mushkilon se,

dhoondh lena raah, apni manzilon ki,

kadam badhaana, poore hausle ke saath…

na jhukne dena sar, kisi ke saamne kabhie,

nigaah milaa ke karna, har kisi se baat,

ho naaz tujhpe, zamaane ko,

banaa tu shakhsiyat apni, kuchh aisi mere yaar..

 

 

 

2.    Kafan..

Mehak uss jahaan ki,

Mehak aasmaan ki,

Hai sej sondhi mitti ki,

Khamaosh hai zubaan bhi..

Roshni kafan ki,

Zindagi khatm si,

So chuki har saans hai,

Hai safar bhi ye aakhri….

 

 

3.    Muraad..

Dum ghut raha hai meraa,

Saans nahi milti,

Kehnaa to chahtaa hoon bahut kuchh,

Per aavaaz nahi milti..

Pyaasi hai rooh meri,

Barsaat nahi milti,

Khudaa to hai,

Per mann maangi muraad nahi milti..

 

 

4.    Sawaal..

Ajeeb bechaini hai,

Ajeeb betaabi hai,

Hothon pe hai pyaas,

Dil mein udaasi hai..

Khoyi si aankhein hain,

Khoyi si sannsein bhi,

Uljhe se hai sawaal kai,

Soyi si dhadkan hai..

 

 

5.    manzil..

aaj kitnaa tanhaan hoon main,

aaj main kitna hairaan hoon,

saamne hai manzil meri,

per paane se darta hoon...

kho naa doon kahin sab kuchh apna

gar manzil tak badhtaa hoon,

toot na jaye sapna koi,

gar ye sapna bunta hoon..

kahin de naa dastak gum ki duniya,

gar ye khushiyaan chunta hoon,

chhoot naa jaye saathi mera,

gar ye raah pakadtaa hoon..

aaj kitnaa tanhaan hoon main,

aaj main kitna hairaan hoon,

saamne hai manzil meri,

per paane se darta hoon...

 

 

 

6.      Tum..

Jahan tum nahi the,

wahan thi tanhai....

 

Baras rahe the aansoon har ek abr se,

nikal rahi thi aah har ek dhadkan se,

simat gayi thi saanse seene me jab..

Jahan sub-kuchh khatm thaa,

Ummeed wahan tumne thi jagaayee...

 

Be-intehaan  na-ittefaakkiyon kaa aalam thaa,

Zehan ajeeb see kush-makush me thaa,

Guzree jaa rahi thie zindagi tezi se jab..

Jahan andheron me kho gaye the hum ,

Roshni wahan tumne thi dikhayee...

 

 

7.      zakhm..

Jiske liye sub- kuchh saha,

usee-ne mujhe gehraa zakhm diyaa...

Shiddat se chaaha thaa jiss-ko kabhie,

aaj uss-se hi naata todd liyaa..

Khyaalo mein wo naa aa-jaye kahin,

maine tanhaa rehnaa chhodd diya..

Bheedd mein naa kho jaa-oon kahin,

maine mehfil me bhi jaana chhodd diyaa..

Wo fir se naa ghar banaa le kahin,

maine dil pe hai sakht pehraa diyaa..

Saanso mein thie baaki uski mehak,

to maine saans lenaa hi chhodd diyaa...

 

 

  • for more ghazals and shayari keep on visiting and send me your valuable comments and suggestions.    Thank You